कैदियों के सुधार में दैनिक समाचार पत्रों की भूमिका व अन्तर्वस्तु विश्लेषण (देहरादून से प्रकाशित समाचार पत्रों के संदर्भ में) -Kaidiyon ke sudhar mein danik samachar patron ki bhumika va antarvastu vishleshan Dehradun se prakashit samachar patron ke sandar

Author: Praveen Kumar

Publication Year: 2021

Keywords: thesis

Abstract: Bharat ke karagaron mein paryapt suvidhaoun ka abhav hai kyonki adhiktar karagaron mein karagar ki kshamta se adhik kaidi band hain. aisi paristhitiyon mein karagar mein kaidiyon ki prasthiti chintniya hai, evan ve un sabhi adhikaron ka prayog nahin kar pa rahe hain jo ki unhen prapt hain. karagar ke bhitar aapsi sangharsh ekakipan evan atydhik mansik dabav ke karan kaidiyon ka vikas avrudh ho raha hai even ve punarsamajikrit na hokar ek algav ki jindgi ki or badhte ja rahe hain. bandiyon ko uske aarthik evan rajnitik rasukh ke anusar suvidhayen pradan ki jati hai, jo ki anyay kaidiyon men hinta ki bhavna ka sanchar karta hai evan use yah ehsas hone lagta hai kai vah ab kabhi bhi samany jivan vyatit nahin kar payenge, vartaman mein karagaron mein band kaidiyon ka mansik evan sharirik swasthya dono hi kshin ho raha hai kyonki kaidoyon ke andar jivan ke prati abhiprerna ka abhav hota ja raha hai. newline newlineSamacharpatra aam janta ko sadaiv se hi prabhavit karta raha hai evan unke jivan ko nishchit hi prabhavit karta hai, samacharpatra kaidiyon ke jivan se sambandhit khabron ka bhi prakashan karta hai. Samachapatra hi vah madhyam hai jo karagaron ke chahardiwarion ke bhitar kaidiyon ko vahy jagat ki ghatnaon evan vahyjagat se parichit karta hai. Samachar patra hi kaidiyon ko thos evan pukhata jankari pradan karata hai evan unhen jagruk karta hai. Vartman samay men kaidi samacharpatra jankari prapt karne ke liye padhta hai.. Jiske madhyam se kaidi suchnayon ko prapt karta hai evan apna gyanvardhan karta hai. Aaj Samacharpatra kaidiyon ke madhy apni sashakt bhumika nibha raha hai, gyanvardhan kar raha hai tatha kaidiyon ke jivan mein parivartan la raha hai. Samacharpatra apni bhumika ke prati sada jagruk raha hai. Samacharpatra hi ek aisa madhyam hai jo ki apni khabron se sabhi ko prerit evan jagruk karta hai. Yah samay samay par desh ke sabhi nagrik ko samaj ke mukydhara se jodne ka bhi kary karta hai. newline newline

Guide: Singh Paritosh

University: Veer Madho Singh Bhandari Uttarakhand Technical University

Shodh Ganga Link: View Thesis

Category: Journalism

View All Theses Back to Home